Monday, March 26, 2012

Auron ki khushi se kyon, aise jal rahe ho tum

GHAZAL
Auron ki khushi se kyon, aise jal rahe ho tum
Ghaur se agar socho, khud ko chhal rahe ho tum
Ek haath se taali, baj saki hai kab bolo
Dosh apna bhi dekho, kyon ubal rahe ho tum
Waqt ke badalne mein, der khuchh nahi lagti
Mil gai jo kuchh daulat, kyon uchhal rahe to tum
Jaisa tumne boya tha, vaisa hi to kaata hai
Ab udaas hokar kyon, haath mal rahe ho tum
Ab to bas ye nishchit hai, tum bhatak hi jaaoge
jaante nahi rasta, aur chal rahe ho tum
Jisne jag rachaa saara, yaad usko bhi rakhna
Uski mehrbani se hi to pal rahe ho tum

Riyaz Ashna

No comments:

Post a Comment