Monday, March 26, 2012

Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai

Jo khabar apne gireba.n ki nahi rakhta hai
Har koi apney siwa usko bura lagata hai

Khubsurat hai bahot pyar ka aalam lekin
Chashma nafrat ka laga ho to nahi dikhta hai

Jo hai buzdil wo to har roz hi marta hai magar
Jo bahaadur hai wo ek baar maraa karta hai

Koi zardaar ho, raaja ho ya ho taaqatwar
Maut jab aati hai, koi bhi nahi bachta hai

Zindagi mein na wo paayega kabhi dil ka sukoon
Qadr jo apney buzurgo.n ki nahi karta hai


Riyaz Ashna
Reply

No comments:

Post a Comment