Wednesday, March 14, 2012

Ghayal hue hum bhi wo kaha.n dekh raha hai

Ghayal hue hum bhi wo kaha.n dekh raha hai
Bas apne hi zakhmon ke nisha.n dekh raha hai

Us shakhs ko ulfat mein na mil payegi manzil
Is raah mein jo sood-o-ziya.n dekh raha hai            (Sood-o-ziyan = Profit & Loss)

Khushiyon ne diye dokhe use itne ke wo ab
Har simt fazaaon mein khizaa.n dekh raha hai

Afsos hai too apne usoolon ko bhulaa kar
Ghairon ke tareeqon mein amaa.n dekh raha hai     (Amaan = Safety)

Ladte hue firqon mein sulah usne karaai                  (Firqon  = Groups)
Ab jaltaa hua apna makaa.n dekh raha hai

Riyaz “Ashna”

No comments:

Post a Comment